Sirf "TU"(By Ahmed Faraz)

Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu 
Kahaan gaya hai mere shaher ke musaafir tu??

Bahut udaas hai ik shakhs tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usi ki Khaatir tu


Merii misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahraa hoon
Teraa khayaal ki shaakh-e-chaman kaa taair tu


Main jaanta hoon ke duniyaa tujhe badal degi  
Main maantaa hoon ke aisaa nahiin bazaahir tu

Hansii Khushi se bichhar jaa agar bichharnaa hai  
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aakhir tu

'Faraz' tune use mushkilon mein daal diya  
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tu....(Ahmed Faraz)

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Dost ban kar bhi... (By AHMAD FARAZ)

Dost ban kar bhii nahiin saath nibhane wala  
Wahii andaaz hai zaalim kaa zamaanewaala
 
Ab ise log samajhte hain giraftaar meraa  
SaKht nadiim hai mujhe daam main laanevaala
 
Kyaa kahain kitne maraasim the hamaare is se  
Wo jo ik shaKhs hai munh pher ke jaanevaala
 
Tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa 
Aaj tanhaa hun to koii nahiin aanevaala

 
Muntazir kis kaa hun TuuTii huii dahaliiz pe main???
Kaun aayegaa yahaan kaun hai aanevaala

 
Main ne dekhaa hai bahaaron main chaman ko jalte 
Hai koii Khwaab kii taabiir bataanevaalaa???

 
Kyaa Khabar thii jo merii jaan main ghulaa hai itna 
Hai wahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa 

 
Tum takalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz' 
Dost hotaa nahiin har haath milaanevaala (AHMAD FARAZ)

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Badan mein aag si...(By AHMAD FARAZ)

Badan main aag si chehra gulaab jaisa hai  
Ke zehar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai...

 

Kahaan wo qurb ke ab to ye haal hai jaise  
Tere firaaq kaa aalam bhi khwaab jaisa hai 

 
Magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi  
Dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai 
 
Wo saamne hai magar tishnagi nahin jaati  
Ye kyaa sitam hai ke dariya saraab jaisa hai 
 
'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi  
Hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai (AHMAD FARAZ)

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Ab kis ka Jashn manate ho???? (By AHMAD FARAZ)

Ab kis ka jashn manate ho us desh ka jo taqsim hua??
Ab kis ke geet sunate ho us tan-man ka jo do-neem hua??
 
Us khwaab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua??
Us naam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua??

 
Us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui??
Us mitti ka jis ki hurmat mansub udu k nam hui??
 
Us jang ko jo tum haar chuke, us rasm ka jo jari bhi nahin  
Us zakhm ka jo sine pe na tha, us jaan ka jo vari bhi nahin 
 
Us khoon ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha  
Us phool ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha 
 
Us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha?? 
Us magrib ka jis ko tum ne jitna bhi loota kam samajha??
 
Un masumon ka jin k lahu se tum ne firozaan ratein kin??
Ya un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin??
 
Us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main?? 
Us isa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhwaron main??

In nauha-garon ka jinhon ne hamain khud qatl kiya khud rote hain  
Aise bhi kahin damsaaz hue aise jallad bhi hote hain 
 
Un bhuke nange dhaanchon(Skeleton) ka jo raqs sar-e-bazar karain  
Ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain 
 
Ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue  
Ya un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue 
 
Is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main 
kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main 

 
Aankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye  
Is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye (AHMAD FARAZ)

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Tumhein chhahta hoon itna.....

Tumhein chahta hoon itna ke bata nahi sakta,
Apne dil ki halat tumhein suna nahi sakta...

Khoya rahta hun yaadon mein teri har pal,
Kya kya hai dil mein tumhein dikha nahi sakta...

Har lamha mehsoos karta hun tumhein kareeb,
Ek pal ko bhi tumse door ja nahi sakta...

Jo bura lage to maaf kar dena mujhe,
Bin bataye main chup reh paa nahi sakta...

Tum bhale chhor do mujhe, Mujhe tanha kar do,
Par "Qaiser" door tum se ja nahi sakta...

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Tum, Mausam aur Mohabbat.

Tum Mohabbat bhi Mausam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,

Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se bhi Muker Jate Ho,

Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera hi Naam Liye Jate Ho???

Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzar Jaate Ho,

Lakh mosam ki tarah rang badalte raho,
Hame Pata Hai, Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho....

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Pyar bahut hai!!!

1) Sahil pe baith ker laher dekhte rahe
    Kab badlegi tumhari nazar, dekhte rahe
    Log kahte hain tu meri qismat mein nahi
    Hum umar bhar apni dua ka asar dekhte rahe!!!!




2)Dhoka na dena tujhpar aitebar bahut hai.
   Ye dil teri chahat ka talabgar bahut hai.
   Na dekhun teri surat to kuch dekhai nahi deta.
   Mai karun to kya karun?? Mujhe Tumse pyar bahot hai!!!!

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS