Ab kis ka jashn manate ho us desh ka jo taqsim hua??
Ab kis ke geet sunate ho us tan-man ka jo do-neem hua??
Us khwaab ka jo reza reza un ankhon ki taqdir hua??
Us naam ka jo tukra tukra galiyon main be-tauqir hua??
Us parcham ka jis ki hurmat bazaron main nilam hui??
Us mitti ka jis ki hurmat mansub udu k nam hui??
Us jang ko jo tum haar chuke, us rasm ka jo jari bhi nahin
Us zakhm ka jo sine pe na tha, us jaan ka jo vari bhi nahin
Us khoon ka jo badqismat tha rahon main bahaya tan main raha
Us phool ka jo beqimat tha angan main khila ya ban main raha
Us mashriq ka jis ko tum ne neze ki ani marham samajha??
Us magrib ka jis ko tum ne jitna bhi loota kam samajha??
Un masumon ka jin k lahu se tum ne firozaan ratein kin??
Ya un mazlumon ka jis se khanjar ki zuban main baten kin??
Us mariyam ka jis ki iffat lutti hai bhare bazaron main??
Us isa ka jo qatil hai aur shamil hai gamkhwaron main??
In nauha-garon ka jinhon ne hamain khud qatl kiya khud rote hain
Aise bhi kahin damsaaz hue aise jallad bhi hote hain
Un bhuke nange dhaanchon(Skeleton) ka jo raqs sar-e-bazar karain
Ya un zalim qazzaqon ka jo bhes badal kar var karain
Ya un Jhute iqraron ka jo aj talak aifa na hue
Ya un bebas lacharon ka jo aur bhi dukh ka nishana hue
Is shahi ka jo dast-ba-dast ai hai tumhare hisse main
kyon nang-e-vatan ki bat karo kya rakha hai is qisse main
Aankhon main chupaye ashkon ko honthon main vafa k bol liye
Is jashn main bhi shamil hun nauhon se bhara kashkol liye (AHMAD FARAZ)
Ab kis ka Jashn manate ho???? (By AHMAD FARAZ)
Posted by
Qaiser Imam
|
Labels:
ahmad faraz
undefined
undefined
undefined
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment