Showing posts with label Sad Shayari. Show all posts
Showing posts with label Sad Shayari. Show all posts

AADMI

Har taraf har jagah beshumar aadmi
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi

Subah se shaam tak bojh dhota hua
Apni hi laash ka khud mazaar aadmi

Har taraf bhaagte daudhte raaste
Har taraf aadmi ka shikaar aadmi


Roz jeeta hua roz marta hua
Har naye din naya intezar aadmi

Zindagi ka mukkaddar safar dar safar
Aakhri saans tak beqaraar aadmi !!!

ღ~••●♣♥════════►♠•Qaiser•♠◄════════♥♣●••~ღ

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Hum se Rabita Rakhna!!


Us k lehjay say mujh ko bas ye maloom huwa.........
Usay dushwar lagta hai ab hum sy rabita rakhna........
·٠•●♥ Qaiser♥●•٠·


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Zindagi aur Tanhaayi!!!


Zindagi me meri hai sirf yaaden teri
Main akela to hun magar tanha nahi (Amrohi)


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Safar mein Hain!!


Manzelai'n to khush nasibou'n mai'n taqsem ho chuki,
Hum khush khayal log......abhi tak safar mein hain.
·٠•●♥ Qaiser♥●•٠·


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Sanam ki Pehchaan!!!


Mere Sanam ki Pehchan Itni Mushkil Nahi Hogi

Aay KHUDA

Wo Hansna Bhool Jaegi Mujhe Rota Dekhkar..!!!


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Sahara mil Gaya!!!


Dedicated to someone..
jisne sach me mujh se aisa kaha tha.. :)

"Ussko ..!!

bade khuloos se samjhaya thaa...!!

Ye muhabbat...!!
ye chahat...!!
ye rooh..!!
ye jism...!!
ye jaan...!!

sab kisi ki amanat hain...!!

mere paas...........

dene ko kuch bhi nahi hai!!!!!!!!

uss ne khamoshi se...!!

mere behte huye ashkon ko...!!

apni hatheli pe saja liya.......!!

aur ye kehti hui chali gayi............

"Mujhe mere jeene ka Sahara mil gaya"!!!"


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Wafa!!!


Pyaar tha, Mohabbat thi, Ishq tha, Ada thi,
Jo nahi tha us Ladki me bas wo ek wafa thi...

·٠•●♥ Qaiser♥●•٠·


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Aankhein!!!


Mujhse 'milti' hai, to 'milti' hai chura kar "Aankhe,,"
phir 'Wo' kis liye rakhti hai 'Saja' kar "Aankhe,,"

Mai 'Unhe' dekhta rehta hu jaha tak "dekhu,,"
Ik 'Wo' hai ke 'Jo' dekhe na utha kar "Aankhe,,"

Us 'jagah' aaj bhi 'Baitha' hu "Akela,,"
Jis jagah 'Chod' gayi thi 'Wo' mila ker "Aankhe........

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Kanton ki NOK!!!




Kuch is tarha se kiya usne mere zakhmo ka ilaj.
Marham bhi lagaya to kanto ki nok se...

·٠•●♥ Qaiser♥●•٠·


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Teri thi!!!

Mohabat bhi teri thi wo Nafrat b teri thi, wo apnane aur Thukrane ki ada b teri thi 
Main apni wafa ka insaf kis se mangta??, wo Shehr b tera tha wo Adalat b teri thi!!!

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Kis ki Tarha tha???

Pathar tha magar barfk gaalon ki trah tha.
Aik shakhs andheron min ujalon ki trah tha.

Khwabon ki trah tha na khyalon ki trah tha.
Wo ilm e riyazi k sawalon ki trah tha.

Uljha hoa asa k kbhi hal ho nhi paya.
Suljha hoa asa k misalon ki trah tha.

Wo mil to gya tha magr apna hi muqaddar.
Shatranj ki uljhi hoi chaalon ki trah tha.

Wo rooh min khushbu ki trah ho gya tehleel.
Jo door bht chand k haalon ki trah tha.

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Main Mashriq & Tum Maghrib!!!

Chalo ye farz karte hain
Ke Tum Mashriq, Main Maghrib
hoon
Chalo yeh maan lete hain
Bada lamba safar hai yeh.
Magar yeh bhi haqeeqat hai....
tumhari zaat ka Sooraj
Bohat sa rasta chal kar,
Meri hasti mein doobega...!!!

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

guzri!!!

Ajeeb karb mein guzri, jahaan jahaan guzri
Agerchay chaahnay waalon k dermiyaan guzri

Tamaam umer jalaatay rahay chiraagh-e-ummeed
Tamaam umer ummeedon k dermiyaan guzri

Guzer gai jo teray saath, yaad-gaar hai wo
Teray baghair jo guzri, balaa-e-jaan guzri

Mujhay sukoon mayassar nahi to kya ghum hai
Gulon ki umer to kaanton k dermiyaan guzri

Ajeeb cheez hai ….. ye gerdish-e-zamaana bhi
Kabhi zameen pay, kabhi misl-e-aasmaan guzri...

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Hai ke Nahi hai....

Chehre Pe Gard ” Paon Mein Safar Hai Keh Nahi Hai,
Tu Dekh Keh” Meri Manzil Pe Nazar Hai Keh Nahi Hai..!

Jaa Apny Liye Dhoond Le Kisi Ahl-E-Mahall Ko,
Na Jaany Meri Kismat Mein Ghar Hai Keh Nahi Hai..!

Tere Paas Hai Abhi Aor Dard To Wo Bhi Mujhe De,
Na Poochh Keh Mujh Mein Aor Sabar Hai Keh Nahi Hai..!

Meri Neendein To Mar Chuki Hain Ratjagon K Haath,
Tere Khwabon Ko Bhi Koi Aisa Dar Hai Keh Nahi Hai..!

Ye Soch K Le Aaya Hoon Main Jungle Se Kuchh Jugnu,
Na Jany Ab Kismat Mein Sehar Hai keh Nahi Hai..!

Tu Dekh Mera Shauk Meri Shikaston Ko Na Dekh,
Paon Taly Tere Gahr Ki Dagar Hai Keh Nahi Hai..!

Maanga Hai Tujhe Rab Se Keh ” Ek Zid Si Hai Kab Se,
Dekhun To Meri Duaon Mein Asar Hai Keh Nahi Hai !

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Kuch Nahi Milta

Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta

Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta

Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta

Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta

Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta

Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta

Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Meri Tanhaayi!!!

Meri tanhaai aksar poochati hai ,
kya tujhe dar nhi lagta ,
is akelepan se ,in sunsaan galion ke khofnaak andheron se,
us wakt meri rooh ek hi jwaab deti hai,
haan mujhe dar lagta hai
lekin is tanhaai se nhi,
us bhukhi shikari logo ki bheed se dar lagta hai,
jhaan har pal ek nya shikari ham dam banke,
pyaar ztane ki koshish krta hai,
us pyaar ki aad me chupi apni hawas .
ko jab wo dillagi ka naam deta hai,
mujhe aise ikraar se aise dildaar se dar lagta hai,
sabs haseen hai ,
meri ye khwabon ki dunia,
jhaan mai or sirf meri tanhaai hote hain,
or wo majboot irada or bhrosa ,
ke koi nhi jo mujhe dukhi kr ske ,
koi nhi jo mera wajood mitane ki nakam koshish kr ske,
or aise mahol me main khud ko azaad mahsoos krti hoon,
or mujhe bilkul dar nhi lagta,
kabhi nhi lagta

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Socha to Tha...

 
 
 
Socha to tha k koi toot ke chaahe ga hame bhi magar!!!
Ye kaisa sitam hai k socha bhi humne, Chaha bhi humne, Toote bhi humhi!!!

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Umar ghata di usne.

Mai jo mehka to meri saakh jala di us ne
Sabz mosam mai mujhay zard hawa di usne

Pehlay ek lamhay ki zanjeer se baandha mujhko
Or phir waqt ki raftaar barhaa di us ne

Meri nakaam mohabat mujhay wapis kar di
Youn mere hath, meri laash thama di us ne

Wo janti thi mujhay maut sukoon bakhshay gee
Wo sitamgar thi so jeenay ki dua di usnay

Us k hone say meri saansain thi dugnee
Wo jo bichra to meri umer ghata di us ne.......

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Imtihaan na le.......

Mere sabar ka na le imtehaan tu
Meri khamoshiyon ko sada na de

Jo tere bagair na jee sake
Usse jeene ki dua na de

Tu aziz dil-o-nazar se hai
Tu qareeb rag-o-jaan se hai

Mere jism-o-jaan ka ye fasla
Kahin waqt aur barha na de

Tujhe bhool ke bhi na bhoola sakon
Tujhe chah ke bhi na pa sakon

Meri hasraton ko shumar de
Meri chahaton ka sila na de

Woh tadap jo shola e jaan mein thi
Mere tan badan se lipat gai

Jo bujha sake to bujha isse
Na bujha sake to hawa na de

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Kaha tha!!!!!!!!!!!

Kaha tha pyaar karta hun har ek cheez laaun ga. 
Tumhari soch se pehlay tumhain apna pyaar bataun ga..

Kaha tha bahut pyaar karta hoon had se zyada 
Ik din chala gaya na to wapis nahi aaun ga 

Kiye the waade soochay the apne sapne
Kaha tha zindagi kay har Mor per tere naaz uthaun ga 

Teri is berukhi ne maar dala mujhay OO jaana!!!!
Meri qabar se lipat kar ab kiyun utha rahi hai mujhe????
Koi Samjhaye ise mar gaya hun ab laut kay nahe ayun ga!!!!

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS