Ek Ladki...

Ek ladki hai Alsaai si...
Lage khushiyon ki parchaain si...


Jab muskaaye to phool jhadein...
Jaise saawan ki angraai si....

Sabke bhale ki chinta karti...
Apnepan ki baatein karti...

Hansi uski aise gunje...
Jaise saagar lehraai si...

Wafa-Haya hain gehjne uske...
Bahut bade hai  sapne uske...

Duniya daari se anjaan...
Jaise kaliyan sharmaayi si...

Dil mein bas gayi uski surat...
Lagti bholi pyaar ki murat...

Sab ki khuda se khair manaati..
Jaise nadiya balkhaai si...

Ek ladki hai alsaai si...
Lage khushiyon ki parchaai si...

Jab muskaai to phul jhadein...
Jaise, saawan ki angraai si...

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Chhamm se tum aa jati ho....!!!!!!!

Shola ek bharka jati ho
Dil mein aag laga jati ho

Jab bhi aankhein band kerta hoon
cham se sooch mein aa jati ho

Har rang jaise tere liye ho
Jo bhi pehno bha jati ho

choti choti baaton per youn
kahe ko ghabra jati ho

har soo jaise kaliyan chatkein
jab bhi tum muska jati ho

Wade roz naye ker k tum
Dil ko younhi behla jati ho

Dukh ke tapte mausam mein
Badal ban ker chaa jati ho

Dunya kitni haseen lagti hai
Jab tum milne aa jati ho...

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Tum............

Tum haqeeqat nahi hasrat ho,
Jo miley khawab mei wohi daulat ho, 

Mein tumhare hi dum se zinda hoon,
Mar hi jaoun jo tum se fursat ho, 

Kis liye dekhti ho Aaina tum,
Tum tu khud se bhi jyada khubsurat ho, 

Dastan ab khatam hone wali hai,
Tum hi meri pehli aur akhri mohabbat ho.

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Sirf "TU"(By Ahmed Faraz)

Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu 
Kahaan gaya hai mere shaher ke musaafir tu??

Bahut udaas hai ik shakhs tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usi ki Khaatir tu


Merii misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahraa hoon
Teraa khayaal ki shaakh-e-chaman kaa taair tu


Main jaanta hoon ke duniyaa tujhe badal degi  
Main maantaa hoon ke aisaa nahiin bazaahir tu

Hansii Khushi se bichhar jaa agar bichharnaa hai  
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aakhir tu

'Faraz' tune use mushkilon mein daal diya  
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tu....(Ahmed Faraz)

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Dost ban kar bhi... (By AHMAD FARAZ)

Dost ban kar bhii nahiin saath nibhane wala  
Wahii andaaz hai zaalim kaa zamaanewaala
 
Ab ise log samajhte hain giraftaar meraa  
SaKht nadiim hai mujhe daam main laanevaala
 
Kyaa kahain kitne maraasim the hamaare is se  
Wo jo ik shaKhs hai munh pher ke jaanevaala
 
Tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa 
Aaj tanhaa hun to koii nahiin aanevaala

 
Muntazir kis kaa hun TuuTii huii dahaliiz pe main???
Kaun aayegaa yahaan kaun hai aanevaala

 
Main ne dekhaa hai bahaaron main chaman ko jalte 
Hai koii Khwaab kii taabiir bataanevaalaa???

 
Kyaa Khabar thii jo merii jaan main ghulaa hai itna 
Hai wahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa 

 
Tum takalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz' 
Dost hotaa nahiin har haath milaanevaala (AHMAD FARAZ)

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS