Bichar k tujh se ye khud ko saza di maine!!!

Bichar k tujh se ye khud ko saza di maine

Teri talash main aik umer laga di maine

Tujhe jo dil se nikala to yun laga jaise

Apne ander koi deewar gira di maine

Gounge behro main raha jaise koi nabina

Zindagi tere bina aisay bita di maine

Jis ka har lafz adhura raha sanam tum bin

Zindagi aisi ik kitaab bana di maine

Us ko achanak se jo khoya to laga

Zindagi aik hi lamhen main ganwa di maine

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Zindagi k har morr per kuch iss tarah azmaya gya mujhe!!!

Zindagi k har morr per kuch iss tarah azmaya gya mujhe
Zindagi de kar phir, Zindagi k liye tarsaya gya mujhe
Pehlay ata kia ghamon ka saya mujhe
Phir khushi k ik ik lamhaye ko tarsaya gya mujhe
Logo k liye rakhte the wo Pyar k sumandar
Magar ik ik boond ko tarsaya gya mujhe
Kaise na karte iss Mohabbat se nafrat
Chiragh ki tarah, Har dehleez per jalaya gya mujhe

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Bohat afsurda lagte hai mujhe ab yar k qisay

Bohat afsurda lagte hai mujhe ab yar k qisay 
Gul-o-gulzar ki batein lab-o-rukhsar k qisay 
Yahan sab k muqadar mai faqt zakhm-e-judai hai 
Sabhi jhoote fasany hai wisal-e-yar k qisay 
Bhala ishq-o-Mohabbat se kisi ka pait bharta hai
Suno! tum ko sunata hoon me karobar k qisay 
Mere ehbab kehte hai yahi ik aib hai mujh me 
Sar-e-deewar likhta hooon pas-e-deewar k qissay 
Mai aksar isliye logo se ja kr khud nahi milta 
Wohi bekar ki batein, wohi bekar k qisay

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaayi Maangtay Rehna!!!

Mohabbat Ki Aseeri Se Rihaayi Maangtay Rehna
Bohat Aasaan Nahi Hota Judaai Maangtay Rehna

Zara Sa Ishq Karlaina, Zara Si Aankh Bhar Laina
Iwaz Iske Magar Saari Khudaai Maangtay Rehna

Kubhi Mehroom Honton Per Dua Ka Harf Rakh Dena
Kubhi Wehshat Mein Oski Naarsaayi Maangtay Rehna

Wafaaon Ke Tasalsul Se Mohabbat Rooth Jaati Hai
Dil Ki Sakoot-e-Shaam-e-Gham Se Humnawaayi Maangtay Rehna

Kubhi Bachay Ke Nannay Haath Per Titli Ke Par Rakhna
Kubhi Phir Oske Rangon Se Rihaayi Maangtay Rehna

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

Khud Kushi!!!

Khud-kushi likhi thi ek bevaa(widow) ke chehare par magar
phir vo zindaa ho gayi bachchaa bilakataa dekh kar!!!

ღ~••●♣♥════════►♠•Qaiser•♠◄════════♥♣●••~ღ


  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS