Hai ke Nahi hai....
Posted by
Qaiser Imam
|
Labels:
Sad Shayari
Chehre Pe Gard ” Paon Mein Safar Hai Keh Nahi Hai,
Tu Dekh Keh” Meri Manzil Pe Nazar Hai Keh Nahi Hai..!
Jaa Apny Liye Dhoond Le Kisi Ahl-E-Mahall Ko,
Na Jaany Meri Kismat Mein Ghar Hai Keh Nahi Hai..!
Tere Paas Hai Abhi Aor Dard To Wo Bhi Mujhe De,
Na Poochh Keh Mujh Mein Aor Sabar Hai Keh Nahi Hai..!
Meri Neendein To Mar Chuki Hain Ratjagon K Haath,
Tere Khwabon Ko Bhi Koi Aisa Dar Hai Keh Nahi Hai..!
Ye Soch K Le Aaya Hoon Main Jungle Se Kuchh Jugnu,
Na Jany Ab Kismat Mein Sehar Hai keh Nahi Hai..!
Tu Dekh Mera Shauk Meri Shikaston Ko Na Dekh,
Paon Taly Tere Gahr Ki Dagar Hai Keh Nahi Hai..!
Maanga Hai Tujhe Rab Se Keh ” Ek Zid Si Hai Kab Se,
Dekhun To Meri Duaon Mein Asar Hai Keh Nahi Hai !
Kuch Nahi Milta
Posted by
Qaiser Imam
|
Labels:
Sad Shayari
Kissi Ki Ankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Se Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ik Adha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawb Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Sakoon Unko Nahi Milta Kabhi Pardes Bhi Ker
Jinhen Apne Watan Se Dil Laga Ker Kuch Nahi Milta
Issay Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ga’nwa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi
Wasi Be Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta
Meri Tanhaayi!!!
Posted by
Qaiser Imam
|
Labels:
Sad Shayari
Meri tanhaai aksar poochati hai ,
kya tujhe dar nhi lagta ,
is akelepan se ,in sunsaan galion ke khofnaak andheron se,
us wakt meri rooh ek hi jwaab deti hai,
haan mujhe dar lagta hai
lekin is tanhaai se nhi,
us bhukhi shikari logo ki bheed se dar lagta hai,
jhaan har pal ek nya shikari ham dam banke,
pyaar ztane ki koshish krta hai,
us pyaar ki aad me chupi apni hawas .
ko jab wo dillagi ka naam deta hai,
mujhe aise ikraar se aise dildaar se dar lagta hai,
sabs haseen hai ,
meri ye khwabon ki dunia,
jhaan mai or sirf meri tanhaai hote hain,
or wo majboot irada or bhrosa ,
ke koi nhi jo mujhe dukhi kr ske ,
koi nhi jo mera wajood mitane ki nakam koshish kr ske,
or aise mahol me main khud ko azaad mahsoos krti hoon,
or mujhe bilkul dar nhi lagta,
kabhi nhi lagta
Socha to Tha...
Posted by
Qaiser Imam
|
Labels:
Sad Shayari
Socha to tha k koi toot ke chaahe ga hame bhi magar!!!
Ye kaisa sitam hai k socha bhi humne, Chaha bhi humne, Toote bhi humhi!!!
Subscribe to:
Posts (Atom)





