Safar me shaam utarne tak to mere sath reh jao,
Naya manzar ubharne tak to mere sath reh jao,
Lahu roti hui Aankhen tere qadmon se lipti hain,
Mere Aansu theharne tak to mere sath reh jao,
Tumhen maloom hai mujh ko khizaan se khauff Aata hai,
So Ye mausam guzarne tak to mere sath reh jao,
Phir us k bad jab chaho,jahan chaho chale jana,
Meri sansien bikharne tak to mere sath reh jao!!!! (By mohammad faiyaz ahsan)
Saat reh jaao....
Kidhar Jana chahiye??
pani ko ab to sar se guzar jaana chahiye
har bar aeriyon pe gira hai mera lahoo
maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye
kya chal sakenge jin ka faqat mas'la ye hai
jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye
saara jwar-bhata mere dil main hai magar
ilzam ye bhi chand k sar jaana chahiye
jab bhi gaye, azab-e-dar-o-baam tha wahi
akhir ko kitni der se ghar jana chahiye
tohamat laga k man pe jo dushman se daad le
aise sukhanfarosh ko mar jaana chahiye
Dil ka kya hai(By parween shakir)
wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna
wahan nahin waqt to ham bhi hain adim-ul-fursat
us se kya kahiye jo har roz kahe kal milna
ishq ki raah ke musafir ka muqaddar malum
dasht-e-ummeed mein andaishe ka baadal milna
daman-e-shab ko agar chak bhi kar len to kahan
nur main dooba hua subah ka aanchal milna
Dil ki KHUSHBU
Meri saanson mein teri khushboo aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon
Duriyan itni ho jaaingi sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon
Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai judai ka, khud ko tarapta dekhoon
Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apne liye dard hi dard dekhoon
Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon
Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam hamesha dekhoon
Bura na Lage...
Tumhare shaher ka mausam bahut suhaana lage
Main ek shaam chura loon agar bura na lage...
Jo doobna hai to itne sukoon se dubo,
Ke aas paas ki lehron ko bhi bura na lage...
Tumhare bas mein agar ho to bhul jao hamein,
Tumhein bhulne mein shayad hamein zamaana lage...
Na jane kya hai teri udaas ankhon mein,
Tu bina bataye bhi jaye to Be-wafa na lage...
Mere pyaar se jalne lagi hai duniya,
Dua karo kisi dushman ki bad-dua na lage...





