Is se pahale ke bewafa ho jayain,
kyon na ai dost ham juda ho jayain.
tu bhi hire se ban gaya patthar,
ham bhi kal kya se kya ho jayain.
ham bhi majaburiyon ka uzr karain,
aur kahin aur mubtala ho jayain.
ishq bhi khel hai nasibon ka,
khak ho jayain kimiya ho jayain.
ab ke gar tu mile to ham tujh se,
aise lipatain teri qaba ho jayain.
bandagi ham ne cho.d di hai 'Faraz',
kya karain log jab khuda ho jayain.
"DOST"(By Ahmed Faraz)
undefined
"CHEHRA"(By Ahmed Faraz)
undefined
Badan main aag si cheharaa gulaab jaisaa hai,
ke zahar-e-gam kaa nashaa bhi sharaab jaisa hai.
kahaan wo qurb(nazdiki) ke ab to ye haal hai jaise,
tere firaaq(milne) kaa aalam bhi khvaab jaisa hai.
magar kabhi koi dekhe koi parhe to sahi,
dil aainaa hai to cheharaa kitaab jaisa hai.
wo samane hai magar tishnagi(pyaas) nahin jaati
ye kyaa sitam hai ke dariyaa(nadi,river) saraab(sukha,desert) jaisa hai.
'Faraz' sang-e-malaamat se zakhm zakhm sahi
hamain aziz hai khaanaakharaab jaisa hai(By AHMED FARAZ).
Wo Dil Hi Kya??
undefined
wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
main tujh ko bhul k zinda rahun Khuda na kare
rahega sath tera pyar zindagi bankar
ye aur bat meri zindagi wafa na kare
ye thik hai nahin marta koi judai mein
Khuda kisi se kisi ko magar juda na kare
suna hai usko mohabbat duayen deti hai
jo dil pe chot to khaye magar gila na kare
zamana dekh chuka hai parakh chuka hai use
"Qateel" jan se jaye par iltaja na kare(Qateel Shifai)
Khuda Pe Chhod Diya
undefined
Saza Pe Chor Diya Jaaza Pe Chor Diya
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De
Usi Ka Kam Tha Us Ki Raza Pe Chor Diya
Ab Us Ki Marzi Bujha De Ya Jala De
Charagh Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chor Diya
Ab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehain Gain Hum
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chor Diya
Is Liye To Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya