Kis ki Tarha tha???

Pathar tha magar barfk gaalon ki trah tha.
Aik shakhs andheron min ujalon ki trah tha.

Khwabon ki trah tha na khyalon ki trah tha.
Wo ilm e riyazi k sawalon ki trah tha.

Uljha hoa asa k kbhi hal ho nhi paya.
Suljha hoa asa k misalon ki trah tha.

Wo mil to gya tha magr apna hi muqaddar.
Shatranj ki uljhi hoi chaalon ki trah tha.

Wo rooh min khushbu ki trah ho gya tehleel.
Jo door bht chand k haalon ki trah tha.

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment