Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu
Kahaan gaya hai mere shaher ke musaafir tu??
Bahut udaas hai ik shakhs tere jaane se
Jo ho sake to chalaa aa usi ki Khaatir tu
Merii misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-sahraa hoon
Teraa khayaal ki shaakh-e-chaman kaa taair tu
Main jaanta hoon ke duniyaa tujhe badal degi
Main maantaa hoon ke aisaa nahiin bazaahir tu
Hansii Khushi se bichhar jaa agar bichharnaa hai
Ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aakhir tu
'Faraz' tune use mushkilon mein daal diya
Zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tu....(Ahmed Faraz)

0 comments:
Post a Comment