pani ko ab to sar se guzar jaana chahiye
har bar aeriyon pe gira hai mera lahoo
maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye
kya chal sakenge jin ka faqat mas'la ye hai
jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye
saara jwar-bhata mere dil main hai magar
ilzam ye bhi chand k sar jaana chahiye
jab bhi gaye, azab-e-dar-o-baam tha wahi
akhir ko kitni der se ghar jana chahiye
tohamat laga k man pe jo dushman se daad le
aise sukhanfarosh ko mar jaana chahiye