Ik Shaam saath guzar to loon.

Abhi is taraf na nigaah kar, main ghazal ki palkein sanwaar to loon,
Mera lafz lafz hai aiena, tujhey aieney mein utaar to loon...

Tu tamam din ki thaki hui, mein tamam shab ka jaga hua,
Zara thehar ja is moR pe ik shaam saath guzar to loon...

Koi ajnabi teri raah mein mere pass se youn guzar gya,
Mere dil mein ye taRap hui tera naam le kar pukar to loon..

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment