Hichki

Aap pas raho mere ya dur hi sahi,
Hum dil se dil ki awaaz mila sakte hai,
Na khat aur na phone ke mohtaaj hai hum,
Par apke dil ko 1 hichki se hila sakte hai.

            Nigahein

Aasman mei jab jab badal garajta hoga,
Mausam bhi aapna rukh badalta hoga,
Uthti hogi jab jab aapki nigahein,
Har koi gir gir kar sambhalta hoga...

      Teri Surat

Dil ki hasrat zubaan par aane lagi,
Tumhe dekha aur zindagi muskurane lagi,
Ye deewangi thi ya meri nazar ka dhokha,
Har cheez mein surat teri nazar aane lagi...


     Tumhari Yadein
Kitni jaldi ye mulaqat guzar jati hai,
Pyass bujhti nahi barsaat guzar jati hai,
Apni yaadon se kehdo is tarah na aaya kare,
Neend aati nahi aur raat guzar jati hai...!


            Chahat
Chahat teri chhupa ke jiye ja raha hun mai,
Khud ko hansi fareb diye ja raha hun mai
Tu bewafa hai fir bhi mera honsla to dekh,
Tujh pe wafa nishar kiye ja raha hunn mai...

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment