THAHER JAO.

Qareeb maut khadi hai zaraa Thaher jaao,
qazaa(shaamat) se aankh ladi hai zaraa Thaher jaao.

thakii thakii sii fazaayen bujhe bujhe taare,
barii udaas gharii hai zaraa Thaher jaao.

nahiin ummiid ki ham aaj kii sahar daikhen,
ye raat ham pe karii hai zaraa Thahar jaao.

abhii na jaao ki taaron kaa dil dharaktaa hai,
tamaam raat parii hai zaraa Thaher jaao.

phir is ke baad kabhii ham na tum ko rokenge,
labon pe saaNs arii hai zaraa Thaher jaao.

daam-e-firaaq mein jii bhar ke tum ko dekh to luun,
ye faisale kii gharii hai zaraa Thaher jaao.

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment