"HALAAT"(By Qateel Shifai).

Tum pucho aur main na bataun aise to halat nahin,
ek zara sa dil tuta hai aur to koi bat nahin.

kis ko khabar thi sanwale badal bin barse ur jate hain,
sawan aya lekin apni qismat mein barsaat nahin.

mana jiwan mein aurat ek bar mohabbat karti hai,
lekin mujhko ye to bata de kya tu aurat zaat nahin??

khatm hua mera afsana ab ye ansoo ponch bhi lo,
jis mein koi tara chamke aj ki rat wo rat nahin.

mere gam-gin hone par ahbab hain yon hairan "Qateel",
jaise main patthar hun mere sine mein jazbat nahin.

  • Digg
  • Del.icio.us
  • StumbleUpon
  • Reddit
  • RSS

0 comments:

Post a Comment